Zainab ne kaha laash se zehra ke lipat kar, amma meri amma
dekho to zara gham se mera haal hai muztar, amma meri amma
baba ke siwa koi nahi sar pe hamare, nana bhi sidhare
kya kya na sitam dhayenge ham par ye sitamgar, amma meri amma
zainab ne kaha....
us ghar ke jalane ko chale aaye thay aada, jis ghar may thi zehra
wo ghar jahan be-izn na aate thay payambar, amma meri amma
zainab ne kaha....
us waqt zaban se mai kabhi uff na karoongi, har zulm sahoongi
jakdengay rasan may mujhe jis waqt sitamgar, amma meri amma
zainab ne kaha....
ye kam nahi baba mere khaaliq ke wali hai, hum aale nabi hai
allah ka ek khaas ye ehsaan hai hum par, amma meri amma
zainab ne kaha....
allah ye sin aap ka athara baras ka, marne ka nahi tha
kya jald khaza kar gayi ay binte payambar, amma meri amma
zainab ne kaha....
di mujhko ye nana ne qabr karbobala ki, ek daure jafa ki
farmate thay kat jaayega bhai ka mere sar, amma meri amma
zainab ne kaha....
ek hashr ghulam aale payambar may bapa tha, ghul aaho buka tha
kehti thi ye dil thaam ke jab zainabe muztar, amma meri amma

Comments
Post a Comment