Skip to main content

AAKHIR HUSSAIN MAA HOON LYRICS

Aakhir Hussain Maa Hoon

Nazon Kay Paley Beta
Aa Jholi Main Pehlaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Kitni Tapish Hai Beta
Saya Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Hukm-e-Yazeedi Aaya
Teeron Pay Teer Aaya
Lashon Kay Baad Lasha
Zehra Kay Ghar Ka Aya
Tanha Tujhay Yahan Par
Main Kaisay Chord Jaaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Kitni Tapish Hai Beta
Saya Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Ujray Na Ghar Kisi Ka
Karti Houn Main Duhain
Maqtal Main Aakay Tujko
Daiti Houn Main Sadain
Kyun Bolta Nahi Hai
Aakay Tujhay Manaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Kitni Tapish Hai Beta
Saya Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Khanjar Chala Na Uspay
Hai Nazon Ka Ye Pala
Gardan Na Kaat Uskay
Ahmad Ka Hai Dulara
Duniya Say Jaakey Baita
Kahin Phir Main Mar Na Jaaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Kitni Tapish Hai Beta
Saya Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Dhondoon Kahan Pay Jakay
Beta Kidhar Hai Mera
Pani Diya Na Usko
Jalta Jigar Hai Mera
Tukray Utha Utha Kay
Lasha Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Kitni Tapish Hai Beta
Saya Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Darbar-e-Shaam Main Kyun
Zainab Ka Sar Khula Hai
Haye Haye Meri Sakina Ka
Kurta Bhi Jalaa Hai
Is Haal-e-Baybasi Main
Beta Main Mar Na Jaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Kitni Tapish Hai Beta
Saya Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Royi Qabr Main Beta
Maqtal Main Royi Zehra
Darbar-e-Sharabi Main
Roti Rahi Hay Zehra
Rotay Hue Hassan Say
Noha Tera Likhaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Nazon Kay Paley Beta
Aa Jholi Main Pehlaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Kitni Tapish Hai Beta
Saya Tera Banaoun
Aakhir Hussain Maa Hoon

Comments

Popular posts from this blog

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015