Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

NAAD E ALI AS LYRICS SHAHID BALTISTANI MANQABAT 2020


SHAHID BALTISTANI | NAAD E ALI as | Manqabat | 2020



 Naad E Ali As...!!!

Dost'on Yeh Saath (7) Hijri Ki Baat Hay Jab Musalmano Ki Izzat Untalees (39) Din Say Khayber May Daoun Per Lagi Hui Thi Aakhir Ash Dasht E Risalat Dua Kay Liye Buland Howey Aur Lab E Risalat Per Wahi E Nayiq Kuch Unh Machalne Lagi Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4 Pehra Ilaahiyyat Pe Naad E Ali Ka Hai Ek Khauf Mushkilaat Pe Naad E Ali Ka Hai Saaya Ajaa’ibbat Per Naad E Ali Ka Hai Ahsaan Kaainaat Per Naad E Ali Ka Hai Hai Vird Dhadkano Ka Yahi Hai Ali Madad Naad E Ali Simat Ker Bani Ya Ali Madad Adam Say Kar Raha Hai Safar Ya Ali Madad Hai Murtaza Kay Zayr E Asar Ya Ali Madad Taweez Hai Pahenlo Agar Ya Ali Madad Karta Hai Mushkilaat Ko Sar Ya Ali Madad Mahshar May Jab Namaz Bhee Daman Churdaigi Bus Ya Ali Madad Ki Sada Kaam Aaigi Hai Saamnay Ki Baat Na Samja Ye Admi Allah Ab Na Jism Tho Rakta Nahi Koi Zaat E Khuda Nay Isliye Khud Ko Rakha Khafi Dast E Khuda Ali Hai Lisan E Khuda Ali Khud Azamaa Ke Deykho Nazar Aaingey Ali Allah Madad Kaho Ge Magar Aaingey Ali Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Naad E Ali X2 Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4 Jo Faqr E Mustafa Hai Madad Ussay Maangiye Jo Naasir E Khuda Hai Madad Ussay Maangiye Jo Deen Ka Asraa Hai Madad Ussay Maangiye Jo Zinda Maujaza Hai Madad Ussay Maangiye Jo Khud Hee Mar Chukay Hai Wo Kaisay Bachaingey Tum Hashr Tak Bulaatay Rahogey Na Aaingey Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Naad E Ali X2 Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4


Ali, Ali, Ali, Ali As Jungle Pahaad Kahtay Hai “Naad E Ali Ali” Mushkil Ko Meri Hal Karo Mushkil Kusha Ali Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Dam Dam Ali Ali Ki Aati Hai Jo Sada Dil Kah Raha Hai Cherd Dun Khaibar Ka Waqiya Ali, Ali, Ali, Ali As Khaibar Mey Guunj Ti Hai Ye Salman Ki Pukaar Lo Aagai Hai Haider E Karrar Hooshiyaar Khush Aaj Mustafa Kay Sahabi Hai Beshumaar Chuptee Hai Maut Run May Nikalti Hai Zulfiqar Maidaan E Kaar E Zaar Mey Haider Utar Gaye Jibreel Parr Samaitlo Warna Ye Parr Gaye Sarr Sarr Chali Jo Tegh Tho Marhab Ka Sar Gaya Marhab Gaya Tho Dil Say Sahaba Kay Darr Gaya Do Ungliyon Say Uttah Sarro Say Guzar Gaya Abtak Nahi Pata Dar E Khaibar Kidar Gaya Aati Shikanj O Ghayz May Unki Jabeen Par Phir Dar Tho Kiya Qila Bhee Na Milta Zameen Par Palta Alam Jo Mir Takallum Wo Gaard Kay Rak Dee Ali Nay Kufr Ki Basti Ujaad Kay Kehnay Laga Ye Dast E Khuda Haat Jhaard Kay Lo Aagai Hai Hum Dar E Khaibar Ukahaad Kay Jitnee Bhee Aaj Jisko Zaroorat Hai Loot Lo Talwaaray Chordo Maal E Ghanimat Hai Lootlo



Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015