Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ARBAAB E REZA MAULA (AS) LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2021

 Arbaab Raza Maula (ع) | Mir Hasan Mir | New Manqabat 2021 | New Manqabat Mola Imam e Raza 2021





●Ya Raza, Ya Raza, Ya Raza, Maula Raza

Arbaab, Arbaab, Arbaab Raza Maula


●Sultan e Arab, Shah e Khorasan 

Arbaab Raza Maula


●Nobat he teri Shaahi ka elaan

Maula Raza

Arbaab, Arbaab, Arbaab Raza Maula

Arbaab Raza Maula


1)● Tabdiliyaan tu Lowh pe karta he qalam se

Waqif he zamana tere andaaz e karam se

Allah bhi rakh-ta he tera maan


2)● Rozay ki ziyarat me ajab Hajj ka mazaa he

Zamzam he sabeel; aur Mina sehn-e-Shifa he

Roza he tera Kaaba e Imaan


3)● Pohncha ta he mujh ko ye kisi aur fizaa me

Mein sehn me hote huway urh-ta hun hawa me

He farsh tera takht-e-Sulaymaan


4)● Har ek pe kaunayn me ehsaan tere hein

Quraan ki qasam lulu aur marjaan tere hein

He shaan teri Sura e Rahmaan


5)● Ho aaye Najaf phir bhi khasarey me rahe ga

Shabbir ke rauzay pe ussey kuch na mile ga

He jaan ke jo aap se anjaan


6)●  Tu jaag raha he toh me sota hun sukoon se

Banda tera waqif he tere Kun fa-yakoon se

He tere tasarruf me meri jaan


7)●  Raziq ke taraf se he tuhi rizq ka qaasim

He nazm-e-do-aalam ka tuhi aanthwaan naazim

Palte he tere rizq pe shiyaan


8)●  He arz yahi bargah-e-Shah-e-zamaan me

Momin na rahe koi pareshaan jahaan me

Bas aap ka dushman ho pareshaan


9)● Aulaad ka taalib koi taalib he shifaa ka

Masooma e Qum ka unhein de-dijiye sadqa

Un sab pe bhi kar dijiye ehsaan


10)● De'bal ko sanaa ke liye bulwaate the jayse

Hay arz ke mujh ko bhi bulaale kabhi ayse

He mir hasan mir ka armaan




Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015