Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ALLAH KYA JIGAR THA LYRICS- NADEEM SARWAR 1989

Nadeem Sarwar (1989)

Allah kya jigar tha
Ek dopher mei apna bhara ghar loota diya

Allah kya jigar tha janabe hussain ka (2)

Zakhmi badan firake pisar tashnagi alam
Tanhayi fauje shaam ka nargah naye sitam
Ansaro akraba ka bichadne ka dil mei gham
Khaime se aarayi thi sadaey buka baham

Jab aaye izn lene ko abbas bawafa
Hasrat se unko dekh ke shabbir ne kaha
Jao sidharo bhai nigehbaan hai khuda
Hum jaante hai door nahi aap se qaza

Jis waqt isteghasaye abbas ko suna
Jate the ran mein thokre khate shahe huda
Nagaah ek simt pe bazu pada mila
Dil tham kar hussain ne usko utha liya

Bhai ke baad ran mein gaya naujawa'n pisar
Barchi ne tukde kar diya uska dilo jigar
Pohche qareeb laashe ke aur bethe khaak par
Barchi jigar se khechi tu hatif ne di khabar

Ayyub dekho sabr e shehenshah e karbala
Tanha jawaan laal ka laasha utha liya
Haatho pe leke khaime ke janib jari chala
Dekha na hoga aisa kisi dil ka hausala

Sab fauj qatl ho gayi aab koi bhi nahi
Narga kiye hai shaam ke aada udoo e dee'n
Barsa rahe hai teero ko har simt se laee'n
Haatho pe apne laate hai banu ka mehjabee'n

Maidan mei sheer khwaar ko laye juhi hussain
Khoya sipahi shaam me apna sukuno chain
Peta gale se lipta hua kar raha tha bain
Kis sabr se juda kiya woh shahe mashreqain

Dafna ke sheer khwar ke laashe ko shahedeen
Aaye khayame zainab e kulsum ke qaree
Lipti sakina qadmo se dil sogta hazee'n
Baba naa aap jaaiye kehti thi mehjabee'n

Lipta ke apni beti ko sarwar ne yeh kaha
Sab hogaye aneeso aaizza mere juda
Hum jaaye qatl gaah mei ye marziye khuda
Ran ko sidhare kehte huwe shaah alwida

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015