Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

SAKINA SA SO RAHI HAI LYRICS - MIR HASAN MIR 2004 NAUHA

Mir Hasan Mir (2004)
Sakina so rahi hai
Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

Khudara zor se bole na koi
Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

Kahan Banu ne utho Shahzadi
huwi kya baat kyun Madarse ruthi,

(Utho baba ka sar aaya hai bibi) x2

magar zinda(n) ki har diwar boli

sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

Tumhaare Goshwaare milgaye hain
Dar-e-zindaan saare khulgaye hain

(Rihayi milgayi jaati hun gharko) x2

magar Sajjad ki awaaz aayi

Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

Huwe jab Shaam ke saaye bhi gehre
parinde chehchahahte jaa rahe the

(Kahan Banu ne ay urte parindon) x2

Sadaayen roklo kuch der apni

Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

4.Banaane Kabr jab Sajjad Uthe
To woh naad-e-ali dohra rahe the

(Bande hatoun se chahaa kabr khoden) x2

achanak paun ki zanjir chanki

Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

5 Na ab maarega koi bhi tamaache
na honge phirse yeh rukhsaar neele

(Galaa bandaa najaayega rasan mei) x2

Jo Aayaa Shimr to usse Kahungi

Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

Adab ki jaah ye 'Rehan' dekho
Buland awaaz mei har giz na bolo

(Yaha to fateha bhi dheere parhna) x2

Yaha awaaz hojaye na unchi

Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

Khudara zor se bole na koi
Sakina so rahi hai

(Sunaayi Kisne Yeh Zindaa(n) me lori Sakina so rahi hai) x2

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015