Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

MUSLIM KE SHAHZAADE LYRICS - MIR HASAN MIR 2017 NAUHA

Mir Hasan Mir (2017)

muslim ke shahzade
Muslim ke shahzaade..(4)
haye ibraheem, haye mohammad..(2)
laal roqaiyya ke..(2)
muslim ke shahzaade..(2)
koofe mein ghir gaye hai..
muslim ke shahzaade

Koi zara ye jaakar.. (2)
koofe mein ghir gaye hai..muslim ke shahzaade.. (2)

1. Jaane de humko zalim, haris(l.a.) se bole bache
firte hai maare maare, do din se bhuke pyaase
sar kaatne se pehle..(2)
paani hame pila de

koofe mein ghir gaye hai..muslim ke shahzaade.. (2)

2. Lagte the jab tamache, maa ko pukarte the
hasta tha jab sitamgar, kehte the roke bache
zalim hamari koi..(2)
takseer to bata de
koofe mein ghir gaye hai..muslim ke shahzaade.. (2)

3. Dil par asar hai itna, abbas ki wafa ka
khwahish bade ki hai wo, qurbaan pehle hoga
chota ye chahta hai..(2)
wo pehle sar katade
koofe mein ghir gaye hai..muslim ke shahzaade.. (2)

4. Jisko ameer muslim, sheh ne laqab diya tha
aulaad par usi ki, aaya hai waqt kaisa
jo chahe ghudkiya de..(2)
jo chahe wo saza de
koofe mein ghir gaye hai..muslim ke shahzaade.. (2)

5. Muslim ki thi wasiyat, do mere laadle hai
aafat padi hai aisi, mujhse bichhad gaye hai
mar jaau jab mai koi..(2)
maa se unhe mila de

6. Dhundho yahi kahi'n hai, unse bhi badla lunga
hakim ye keh raha tha, in'aam usko dunga
ghaazi ke bhanjo ko..(2)
jo qaid karke laade

7. Koofe ke darr pe jisdum, muslim ki laash dekhi
akbar kaha ye maa ne, ro ro ke mere waali
batla de bus kaha'n hai..(2)
aaqa kaneez zaade

haye ibraheem, haye mohammad..(2)

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015