Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

MAI AA RAHA HU SAKINA LYRICS - MIR HASAN MIR 2014 NAUHA

Mir Hasan Mir (2014)
Mai Aa raha hu Sakina
Haye Haye Haye
Sakina Sakina

Assalamu alaiki ya sayyidatana ruqaiyya
assalamu alaiki ya binta fatimataz zahra sayyidata nisail alameen
assalamu alaiki ya binta husainish shaheed

sakina sakina..(2)
mai aa raha hu sakina..(4)

hai bus khatm hone ko har imtehaan
koi ghaib se de raha hai sada
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..

nigaho me meri hai ab tak wo lamhe
rihai haram ko mili jis tarah se
aseero ko aabid gae jaise leke
tujhe bhi chudakar mai zindaan se
bohot jald lejaunga karbala
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..

azadari hoti thi ghurbat pe teri
tere dil ko hoti thi kitni tasalli
magar ab na matam na majlis hai koi
tere paas tanhaiya rehgai
raha ab na koi teraa aasra
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..

lahu bangaya kese aahkho ka pani
hui qatl aabid ki kese jawani
sununga mai bazar teri zabani
karunga mai khud sath girya tere
na ro shahzadi theher ja zara
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..

tujhe ab na pardesi koi kahega
watan leke tujhko ye mehdi chalega
madina watan tha madina rahega
tadapti hai milne ko bimar se
mila dunga sughra se wada mera
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..

nisha hai ae bibi jo rukh par tumhare
hai wese hi kuch daagh dil par hamare
nazar me hamari ye manzar hai saare
baqiyya samarra karbobala
chukane badla har ek zulm ka
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..

palat kar na aaya jo darya se ghazi
kisi se bhi tune na fir manga pani
meri choti zahra tu kabse hai pyasi
bujhane ko sadiyo ki tashna labi
tere paas khud banke saqqa tera
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..

takallum wo kehta ye hoga tadapkar
mai hasrat se takta hu khud teghe haider
teri al ajal ki sadao ko sunkar..(2)
usi tarha aata hai lab par mere
kate sar ne tha jis tarah se kaha
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
sakina sakina... sakinaa sakina

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015