Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

HAAYE ASGHAR HAYE SAKINA LYRICS - MIR HASAN MIR 2007 NAUHA

Mir Hasan Mir (2007)
Haaye asghar
Haaye asghar

(Haaye asghar, Haay Haay Sakina) x2

(Haay asghar Haay Sakina) x3

Haay Sakina

(Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina Na asghar hai na sakina) x2

Haay asghar

Haay haay sakina

(Bibi ke liye kitna mushkil) x2
Is haal mein hoga jeena

Na asghar hai na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar hai na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Khaali jhula shehzaade ka aur khun mein tar ik baali
Jab dekhegi ghar mein aakar zindaan se aane waali

(Tukre tukre hojaayega) x2

Be khanjar uska seena

Na asghar he na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar he na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Ik thi turbat tareeki mein aur dhoop mein ik ka lasha
Woh bhi pyaasi dunya se gayi aur margaya woh bhi pyasa

(Kisko baali pehnaae ab) x2

aur kisko jhulaae jhula

Na asghar he na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar he na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Jab phir se bachhe dekhegi kya guzregi baanu par
Yaad aayenge jab apne bachhe chaljaayega dil par khanjar

(Jab saath nahin dengi saansein) x2

Kaise woh rahegi zinda

Na asghar he na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar he na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Ab is se bara kya hoga sitam ay chashme falak tu batla
Aulaad se ronak hoti hai uthta he jo koi laasha

(Lekin baanu ki mayyat par) x2

Ab kaun he rone waala

Na asghar he na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar he na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Jo baat kahi thi bachhon se usne ta umr nibhaayi
Na paani piya thanda usne na khud saaye mein aayi

(Bas dhoop mein bethi shaamo sahar) x2

Kehti hi rahi ye hazeena

Na asghar he na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar he na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Lori ki sadaa nauha ban kar zindaan se ghar tak aayi
Maa se sughra ye puchhti he ye kaisi hai tanhaayi

(Ab maa ne agar sach boldiya) x2

To marjaayegi sughra

Na asghar he na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar he na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Nawhe mein kahaan tak 'Meer Hasan' 'Rehan' woh manzar likhe
Awaaz teri nawhe mein dhali aati he sadaa matam se

(Ye kehkar ay pursaa daaron) x2

Zahra ko pursa dena

Na asghar he na sakina

Zindaan se riha hokar baanu ab kya jaayegi madina

Na asghar he na sakina

Haay asghar

Haay haay sakina

Haay Sakina Haay Sakina

Haay asghar Haay Sakina Haay Sakina

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015