Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

BHAIYYA MAI AAGAYI HU LYRICS - MIR HASAN MIR 2011 NAUHA

Mir Hasan Mir (2011)

Bhaiyya mai aa gayi hu
Chehlum ke liye bhaiya aayi hai teri Zainab,
Ay mere bhai hussain x2

BHAIYYA MAI AAGAYI HUN, NANA KA DIN BACHA KE X2
Jaaungi ab madina chehlum tera manake
BHAIYYA MAI AAGAYI HUN, NANA KA DIN BACHA KE X2

1)Maloom hai ye tumko zainab ujad chuki hai,
Lekin teri shahadat ghar ghar pohonch gayi hai,
Shabaash do behan ko x2 Bhaiya galay lagake
BHAIYYA MAI AAGAYI HUN…

2)Bhaiya tumhari zainab ab wo nahi rahi hai,
Pehchaan loge mujhko haalat badal gayi hai,
Chalti hai ye zaeefa x2 bhaiyya kamar jhuka ke
BHAIYYA MAI AAGAYI HUN…

3)Sajjad aur baaqir denge gawahi meri,
Khaye hai taaziyane binte ali ne phir bhi,
Le aayi shamiyon se x2 waaris tere bacha ke
BHAIYYA MAI AAGAYI HUN…

4)Kaise bataun bhaiya bazaar me jo guzri,
Kehte sab ke maaro ye hai ali ki beti,
Baba ke bhi mai badle x2 sab aayi hoo chuka ke
BHAIYYA MAI AAGAYI HUN…

6)Ghar ja ke kya karoongi pehlu may hi sulaalo,
Akbar se kehke mujhko turbat ki jaa dilaado,
Maalik ho tum to bhai x2 jageere karbala ke
BHAIYYA MAI AAGAYI HUN…

7)Ye kehke ay ‘Takallum’ uthi ali ki beti,
Abbas ki lahad par pohoncha de mujhko koi,
Dikhla dun ba-wafa ko x2 rassi ke neel jaake
BHAIYYA MAI AAGAYI HUN…

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015