Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ASGHAR HO TUM KAHAAN LYRICS - MIR HASAN MIR 2008 NAUHA

Mir Hasan Mir (2008)
Asghar ho tum kahaan
Asghar ho tum kahaan

(Ay Aliasgher, Ay Aliasgher) x2

Maqtal Mai Baithi Khaak Par, Nawha Kunaa Hai Maa
(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2

Jhulaa Jalaa Toh Jalgaye, Armaan Bhi Mere
Mai Jee Rahi Thi Ek Hi, Hasrat Liye Huwe

(Dulha Tumhe Banaaungi) x2 Kab Honge Tum Jawaan

(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2

Bikhde Huwe Yeh Chaand, Sitaare Zameen Pe Hai
Zindaa Nahi Hai Koi Magar, Sab Yahin Pe Hai

(Ik Teri Laash Hii Nahin) x2 Laashon Ke Darmiyaan

(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2

Do Chaar Din Bhi Zindaa Nahi, Reh Sakungi Main
Itna Teri Ghareebi Pai, Matam Karungi Mai

(Ay Laal Mere Haathon Ki) x2 Khulwaade Rassiyaan

(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2

Maqtal Se Kaafle Ko, Guzaraa Gaya Thaa Jab
Pyaaron Ko Apne Deten The, Rokar Sadaaen Sab

(Ye Kehte Kehte Bandh Gayi) x2 Baano Ki Hichkiyaan

(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2

Majlis Wahin Pe 'Meer Takallum' Bapaa Huwi
Maa Turbate-Saghir Par, Kehti Thi Jis Ghadi

(Jaata Hai Su-e-Shaam Ab) x2 Lutkar Ye Kaarwaan

(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2

(Ay Aliasgher, Ay Aliasgher) x2

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015