Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

MAULA MUJHE ABBAS KI JAGEER DIKHANA LYRICS - ALI RAZA SURANI 2019 NAUHA

Ali Raza Surani (2019)

Maula mujhe abbas ki jageer dikhana
[Mere Maula Hussein(as) ,Mere Aaqa Hussein(as)] x2

(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

(Kismat mei hoo likha meri) x2 karbobala jaana
(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

Jis waqt main pohchunga maqam e Ali Asgher(as)
Yaad aayegi mujhko wahaaN Besheer ki madar
Asgher(as) ke baad jo,Saaye mei na baithi,tha dhoop thikana

(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

Jaau main WahaaN jis jagah khaime the tumhare
Zalim ne Sakina(sa) ko tamache jahaaN maare
Uss paak zameeN par,hoo mujhko mayassar,ashko ko bahana

(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

Jis jaa pe huwi baap ki bete se judai
Kadiyal JawaaN ne aapke barchi jahaaN khayi
Kehta hai mera dil,hoga WahaaN mushkil,ashkoN ko rukhana

(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

Jab qatl gah aapki dekhunga main jaakar
Yaad aaega maula Mujhe aashur ka manzar
Gardan pe aapki,woh shimr e laeN ka,khanjar ko chalana

(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

Jannat toh azadar ki bas karbobala hai
Har matami daste ki yeh khwahish mei likha hai
Karbobala jaa ke,Maatam ke nishaN se,sine ko sajana

(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

Jaana jo Raza rauza e Abbas(as) ke andar
Aaqa ke paas jaana magar ghutniyoN chal kar
Ro ro ke WahaaN par,Nauha e Sakina(sa) ,Ghazi(sa) ko sunana

(Maula Mujhe Abbas(as) ki jageer dikhana) x2

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015