Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

DUA KARO KE ZAHOOR E IMAM LYRICS - ALI SAFDAR 2011 NAUHA

Ali Safdar (2011)

Dua Karo Ke Zahoor e Imam
Dua karo....x8
Dua karo...x6
Dua karo ke zahoore Imam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo.....x3

Ali ki tegh ke jauhar khule zamane par
Tamam duniya ho ek tegh ke nishaane par
Ho sari khalke khuda maut ke dahane par ......x2
Jo gaib me hain woh zaahir Imam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo.....x3
Dua karo ke......

Sina ki nok pa uthega kalaye khaibar
Kafan hawa ka milega na khaak ka bistar
Ajal chabati fire lashe marhab o antar.....x2
Jo zulfikar e Ali beneyaam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo.....x3
Dua karo ke....

Hakeeki surat e Islam bhi ayaan hogi
Nigah e adl zamane ki pasbaan hogi
Fir ek kalma yaha ek hi azaan hogi....x2
Paye namaz jo hazir imam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo....x3
Dua karo ke....

Karegi mauje hawa zulm ko rasan basta
Zameen band karegi faraar ka rasta
Woh barse aag jo darbariyon ko ho sakhta .....x2
Agar zaman e fidak ham kalam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo.....x3
Dua karo ke....

Na shirk hoga na ilhado kufr kuch bhi nahi
Khuda ke deen se aabad hogi sari zameen
Har ek sagare nafse bashar me hoga yaqeen....x2
Muqi me shehra ke jatkapt kayam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo.....x3
Dua karo ke.......

Magar woh shehra ke jaan jispe chal gaya khanjar
Magar woh sar jo uthaya gaya the naize par
Magar woh pyasa jo hain ibne sakiye kausar.....x2
Har ek zabaan ki zeenat woh naam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo....x3
Dua karo ke.....

Haya bhi roti hain jispar woh Zainab e muztar
Use bhi kucha ba kucha firaya be chadar
Jo Sayyeda ki hain beti Hussain ki khwahar.....x2
Wohi jo rukashi darbar e Shaam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye
Dua karo....x3
Dua karo ke....

Rahe jo pyase labe ju unhe abad ka salaam
Kalam jo ho gaye bazu unhe abad ka salaam
Jo unke gam me hain aansu unhe abad ka salaam.....x2
Khuda kare ke shuru inteqaam ho jaye
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye

Dua karo...x3
Dua karo ke....
Yeh roz roz ka kissa tamam ho jaye....x2
Dua karo....x3
Dua karo ke.... 

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015