Ali Safdar (2018)
Bibi Zehra ki amanat
Ya hussain, ya hussain..(3)
Bibi Zehra, bibi Zehra..(2)
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
ghum e hussain mein matam bhi subh o shaam karo

1. Ghum e hussain ko naslo mein baat-te rehna
tum apni aaho se shamsheere kaat-te rehna
nasheb e zeest isi ghum se baat-te rehna
hamesha madar e shabbir ko salaam karo

2. Ghum e hussain zaroori hai zindagi ke liye
yehi charaagh hai duniya mein roshni ke liye
yehi haseen ibadat hai bandagi ke liye
azaa e sheh ke siwa aur na koi kaam karo

3. Ghum e hussain sikhata hai zindagi karna
ye ghum batata hai darya mein tashnagi bharna
ho zindagi ki jo khwahish hussain par marna
tum apne jeene ka is tarha intezaam karo

4. Bicha ke farshe azaa karbala ko yaad karo
hussain fikr mein ho aur khuda ko yaad karo
wo jis dua ke sabab us dua ko yaad karo
ba naam e asghar e besheer sab kalaam karo

5. Jaha'n mein kuch bhi nahi hai magar hussain hussain
khuda ke dee'n mein nahi ho agar hussain hussain
dohai dene lage har nazar hussain husssain
har ek fikr e yazeedi ko inhedaam karo

6. Ghamo ka bojh hai saara hussain ke dil par
tadap raha hai koi alqama ke sahil par
chala hai god se koi sagheer manzil par
abhi na haath mein asghar ka ikhtetaam karo

7. Azan e asr hui karbala ke maqtal mein
darinde aagaye charo taraf se jangal mein
hussain sajde mein hai zalzala hai karbala
faza mein shor tha ab matam e imam karo

8. Baraye majlis o matam nikal padi zainab
uthake fatha ka parcham nikal padi zainab
bachane mahe moharram nikal padi zainab
huzure zainab e muztar ha bus salaam karo