Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ALI ALI MAULA LYRICS - ALI SAFDAR 2016 NAUHA

Ali Safdar (2016)

Ali ali maula
Ali maula, ali maula, ali maula
ali, ali, ali, ali, ali maula

ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali..(2)

man kunto maula, fa haza aliyun maula..(2)

ali ali maula, ali ali maula maula, ali ali maula, ali ali ali..(4)

1. Ishq e ali ke aaine mein
hum maulai sawarte hai
majlis o matam roza namaze
haider haider karte hai
khudkush hamle karne wale
maut haram ki marte hai
hum hai shaheedo'n ki auladein
dushman hum se darte hai
dil ki sada hai, ali ali maula
jaan fida hai, ali ali maula
khoon se likha
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

2. Naara e majlis, naara e mehfil
ya ali maula, haider maula
dariya ban jata hai sahil
ya ali maula, haider maula
nusrat e mahdi ki hai manzil
ya ali maula, haider maula
bacho'n ko hai banana qabil
ya ali maula, haider maula
hum ne suna hai, ali ali maula
hum ne padha hai, ali ali maula
hum ne likha hai
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

3. Qibla e awwal gunj raha hai
hizbullah ki jurrat se
takfiri sab toot rahe hai
ehle wigha ki haibat se
karbobala hai qarya, qarya
ehle azaa ki himmat se
lashkar e mahdi jeet raha hai
maula ali ki taaqat se
ilm o ata hai, ali ali maula
ishq o wafa hai, ali ali maula
wajhe baqa hai
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

4. Haider hai tauheed ka suraj
chashme nabi ka tara hai
aisa namazi aisa mujahid
ye allah ka pyara hai
aai hai unneeswi shab to
behta khoon ka dhara hai
ghar mein khuda ke mehwe sajdah
rozedaar ko maara hai
shor bapa hai, ali ali maula
aaho buka hai, ali ali maula
khoon baha hai
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

5. Zehre halahal mein doobi
talwaar ki kaisi zarbat thi
maula ali ki reeshe mubarak
aaj lahu se surkh hui
aaj yateem hai hone wali
girya kuna ye aale nabi
zainab se baate karti hai
aakhri hichki maula ki
bhai khada hai, ali ali maula
shukre khuda hai, ali ali maula
sarpe rida hai
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

6. Roohe haider dekh rahi hai
kaisi musibat aai hai
laash e pisar par baap ki shafqat
ghutniyo chal kar pohchi hai
fatahe khaiber ke bete ne
kitni taaqat mangi hai
seene se akbar ke sheh ne
kaise barchi khaichi hai
teer laga hai, ali ali maula
zakhm khula hai, ali ali maula
dard bada hai
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

7. Jiska janaza shab mein utha tha
khoon ke aansu roti hai
maa aur beti dono ne
darbaar ki mushkil dekhi hai
haath bandhe hai sar uryaa'n hai
aur gale mein rassi hai
kufe mein be maqna o chadar
aaj ali ki beti hai
sabr o raza hai, ali ali maula
sar bhi jhuka hai, ali ali maula
karb bada hai
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

8. Aaj qamar har dil ki sada hai
lashkar e mahdi, YA HUSSAIN
nusrat e mahdi farshe azaa hai
lashkar e mahdi, YA HUSSAIN
meri jabee'n par likha hua hai
lashkar e mahdi, YA HUSSAIN
haider haider goonj raha hai
lashkar e mahdi, YA HUSSAIN
azme wafa hai, ali ali maula
shukr e khuda hai, ali ali maula
lab pe dua hai
ali ali, ali ali, ali ali, ali ali ali
ali ali maula.....

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015